| huma's Homepage
|
![]() |
![]() |
toggle3Guestbook
Posted at 10/13/2008 7:18 AMhi
Posted at 10/11/2008 12:25 PMhello huma
- syed haydar
- 24, Karachi, Pakistan
syedhaydar.abbas@yahoo.com
Posted at 8/8/2008 10:20 AMbabagg
- baba
- 24, Lahore, Pakistan
Meri dua hai k aap naik serat ho,
aap ka dil aap ki tarhan khubsurat ho,
Mil jaye aap ko har cheez dua se pehly,
Khud dua ko aap k hathon ki zarorat ho
Mehfil na sahi tanhai to milti hai,
Milan na sahi judai to milti hai,
Kon kehta hai mohabbat mein kuch nahi milta,
Wafa na sahi bewafai to milti hai.
Abre rehmat teri chokhat pe barasti nazar aaye,
har lamha teri taqdir swanrti nazar aaye,
Bin mange tujhe mil jay tu jo chahe,
dua kudh tere hathon ko trasti nazar aaye,
Hichkiyon se ek baat ka pata chalta hai,
k koi hamy yaad to karta hai,
Baat na kary to kia hua,
koi aaj bhi hum pay kuch lamhay barbad to karta hai
Har subha teri muskurati rahe,
har sham teri gungunati rahe,
meri dua hai tu jis se bhi milay,
har milnay wale ko teri yaad aati rahe.
jane kis baat ki woh mujh ko saza deta hai,
meri hansti hui ankhon ko rula deta hai,
ek muddat se khabar bhi nahi teri,
kiya koi is tarha apno ko bhula deta hai?
zindagi hamesha pane k liye nahi hoti,
har baat samjhane k liye nahi hoti,
yaad to aksar aati hai aap ki,
lakin har yaad jatane k liye nahi hoti
Chand taron ka noor tujh par barse,
har koi teri chahat ko tarse,
teri zindagi main aayen itni khushiyan,
k tu aik gham paane ko tarse.
samandar mein "gahrai" ki tarhan,
pyar mein "judai" ki tarhan,
dosti mein "chahat" ki tarhan,
mohabbat mein "wafa" ki tarhan,
meri zaban par tum rahte ho "dua" ki tarhan.
yaad mein teri aahain bharta hai koi
har saans k saath tujhe yaad karta hai koi
mout to sachai hai aani hai
lekin teri judai se har roz marta hai koi
un se roz milne ko dil chata hai
kuch sunne sunane ko dil chta hai
tha kisi ka manane ka andaz aisa k
bar bar roth jane ko dil chata hai
kitni jaldi ye mulqaat guzar jati hai
piyas bhujti nahi barsaat guzar jati hai
apni yadon se kah do k yahan na aya karain
neend aati nahi aur raat guzar jati hai
kushboo ki tarhan aap k pass bikhar jain gaye
sakon ban k dil mein utar jain gaye
mahsos karne ki koshish to kijiye
dur hote hue bhi pas nazar aain gaye
zindagi ki chahat ka silsila hai
koi mil gaya to koi bichad gaya
jinhain manga tha duaon mein
woh kisi aur ko bina mange mil gaya
Main ne bhi kisi se piyar kiya tha,
thora nahi beshumar kiya tha,
meri to zindagi hi badal gai jab us ne mujh sekaha,
"arey pagal mein ne to sirf mazak kiya tha"
duao ki bhid me ek dua humari,
jisme mangi humne har khushi tumhari,
jab bhi muskuraye aap dil se,
samjho dua kubul hui humari
Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya,
Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya,
Dil to dil tha samundar ka sahil nahi,
Likh diya naam to phir mitaya na gaya
Her sham ke bad rat ati hai,
her baat ke bad tumhari yaad ati hai,
chup reh ker bi dekh lia hum ne,
Khamoshion se bi tumhari awaz ati hai.
Umar ki rah me raste badal jate hain,
waqat ki andhi mein insan badal jate hain,
Sochte hain thumain aitna yaad na karain lekin,
Ankhain band karte he irade badal jate hain.
pani ka ek katra ankh se gira abhi abhi,
kiya aap ne mujh ko yaad kiya abhi abhi,
aap se mile zamana hua magar,
youn laga koi mujh se mil k gaya abhi abhi.
Ishq wale ankhon ki baat samjh lete hain,
sapno mein mil jay to mulakat samjh lete hain,
rota to asman bhi hai pyar k liye,
par usse barsaat samjh lete hain.
Tanha ho kabhi to mujhe dhoond lena,
dunya se nahi apne dil se poch lena,
aap k aas paas he kahi rahte hain hum,
yadon se nahi to sath guzre lamhon se poch lena.
Tammana se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bohat chahat hai, par
milne ke baad judaai se darte hain
Bhoole hain woh kuch is tarhan se humain,
ab intezar karna naseeb hogaya hai,
na jane koi khata hogai humse,
ya koi aur un k kareeb hogaya hai
Haqeqat na pouch mere afsany ki,
Tery jate he badal gai nazar zamany ki,
log pochtay hain main khush kyon nahi,
kya kahon unhe k meri adat thi tere sang muskurane ki
Maza ata hai aap ko satane main,
rothe na koi to maza kiya manane mein,
ek aap hi se to zara si khushi milti hai,
warna rakha kiya zamane main,
aap ko pa k ab khona nahi chatey,
itne khush hain k ab rona nahi chatey,
ya alam hai hamara aap ki judai main,
ankhon main neend hai magar sona nahi chatey.
Na kabhi chupaya ki pyaar kitna hai,
Na kabhi jtaya ki dard kitna hai,
Bus ek hume aur us khuda ko malum hai,
tumse mulaakat ka intezar kitna hai..
'badi muddat se chaha tujhe,
badi duawon se paya hai tujhe,
tujhe bhulane ki sochu bhi to kaise,
qismat ki lakeeron se churaya hai tujhe"
1 janazy dekh k larki hans pari
pass 1 baba bola batti jawan mot par hanstay nahi hain
larki boli baba wada kia tha jab milay gay muskra kar milay gay
manzil b uski thi, rasta b uska tha.
ek main akela tha, kaffila b uska tha.
sath- sath chalne ki soch b uski thi, phirr
raasta badlne ka faisla b us ka tha.
aaj kyo akela hoon, dil sawal karta hai,
log to uske the kya khuda b uska tha.....
Kabhi lafz bhol jaon, kabhi baat bhol jaon,
usay is qadar chahon, apni zaat bhol jaon,
uth kar kabhi jo us k pass se main chal don,
jate hue khudh ko us k pass bhol jaon.
woh jo milte bicharta hai rula deta hai,
jane kis baat pe dil us ko dua deta hai,
woh mujhe pyar se rote main hansane wala,
yaad ata hai to hanste main rula deta hai.
waqt guzarta raha par sasain thami si thi,
muskura rahe tahe hum par ankhon main nami si thi,
sath humare tha ye sara zamana par,
na jane kyon kisi ki kami si thi.
teri dosti ne diya sakon itna,
k ter baad koi acha na lage,
tujhe karni hai bewafai to es ada se kar,
k tere baad koi bewafa na lage
ishaq woh dariya hai jis ka sahil nahi hota,
har dil pyar k kabil nahi hota
rota woh bhi hai jo doba ishq k sagar main
aur woh bhi jisse ishq hasil nahi hota.
jane kiya us ko logon se thi shikayatain
tanhaiyon k desh main khudh ko basa liya
kudh bhi woh hum se bichad k adhora sa hogaya
mujh ko bhi logon main tanha bana diya
har koi mujhe pani ki zid main hai
shayad koi azmane ki zid main hai
jis ki chahat hai humain itni shiddat se,
woh he mujhe bhool jane ki zid main hai
tarasti nazron ne har pal us ka sath manga,
jaise asman ne raat chand manga,
roth gaya woh khuda bhi hum se,
jab hum ne har dua main tumhara sath manga
us k siwa koi mere jazbat main nahi
ankhon main woh nami hai jo barsat main nahi
pane ki usse koshish bohat ki magar
shayad woh lakeer ab mere hath main nahi.
kabhi kabhi dil udas hota hai
halka halka sa ankhon ko ehsas hota hai
chalakti haimeri bhi ankhon se nami
jab tumhare dur hone ka ehsas hota hai.
Koi kuch bhi na kahay to pata kya hai
Is bechain khamoshi ki wajah kya hai
Unhain ja kay koi kahay hum lay lenge zahar bhi
Woh sirf yeh to bata dain meri khata kya hai.......
------------ --------- -
Kabhi kabhi ye dil zaroor rota hai,
jab koi apna mil kar nazron se door hota hai.
kyun roti hai kambakht yeh ankhe,
kyun ki dil se jayada inka hi kasoor hota hai...
------------ --------- -
Wada kar ke jo mukar jate hain
Woh log sab se zyada kareeb hote hain
Waqt to chalta hai chal ke badalta hai
Par ye log waqt se pehle hi badal jate hain..
Waqat badalta hai zindagi ke sath
zindagi badalti hai mohabbat ke sath
Muhabbat nahi badalta apno ke sath
Bus apne badal jate hain waqat ke sath....
------------ --------- -
Jab bhi yaad aati hai muskura lete hai
kuch palo ke liye har gam bhula dete hai
kaise bhig sakti hai palke aap ke
aap ke hisse ke aansu to hum baha lete hai..
------------ --------- -
Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna,
Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna,
Kaante to phir bhi daman tham lete hain ,
Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..
Khaali shishe bhi nishaan rakhte hain,
Tute hue dil bhi armaan rakhte hai...
Jo khaamoshi se guzar jaaye,
Woh dariyaa bhi dil me toofan rakhte hai...
------------ --------- -
Woh hume bulne ki baat karte hai
Zara unse pucho who hume kab yaad karte hai
Jo karte the kabhi humse bahot mohabbat
Aaj akele rehne ki baat karte hai-
------------ --------- -
Ishq dariya hai jiska sahil nahi hota,
Har dil mohabbat ke kabil nahi hota,
Rota woh bhi hai joh duba ishq-e-sagar me,
Aur rota woh bhi hai jise ishq hasil nahi hota…
































